Friday, December 28, 2012

Hum Uncle ho chale hain

Hum Uncle ho chale hain,
Hum Uncle ho chale hain.

Fashion se pare, trend se door,
Sober and simple ho chale hain.
Puraani shirt, maile joote,Aur
comfortable lag rahe hain,
Hum uncle ho chale hain.

Jin baalon ko sawaarne mein hote the hameshaa late,
Unhe hum bohot 'miss' kar rahe
hain,
Missej ke notice karne par hi..
'Shave' kar rahe hain,
Hum uncle ho chale hain. 

Shopping ka mazaa sirf aunty hi leti hain,
Hum bas card par 'EMI' bhar rahe hain, 
Dost aur dosti yaadon mein hi rehte hain,
Free time mein chintu ki 'care' kar rahe hain,
Hum uncle ho chale hain.

Savings ab nai guitar ke liye nahi,
Chintu ki padhaai ke liye kar rahe hain,
Apne liye kuch pasand bhi aaye to feelings ko 'ignore' kar
rahe hain,
Hum uncle ho chale hain. 

Fun aur excitement ke maaine badal
rahe hain,
Thoda sa time mile to 'So' rahe hain,
Na impression jamaate hain, na impress hote hain,
Roz mile kaam ko bas poora kar rahe hain,
Hum uncle ho chale hain.

Focus goal par ab bhi hai, 
Par energy aur 'enthu' saath chhod gaye hain,
Paison se badhkar kuch nahi,
Is thought ko 'second thought' de rahe hain,
Hum uncle ho chale hain.

Ladkiyon aur filmon ko bhulaakar,
Tax aur investment 'discuss' kar rahe hain,
Jawaan ab dikhte nahi, Budhaape ke aane se dar rahe hain,
Hum uncle ho chale hain.

-In my 30s,
Haresh